Featured

IMTIHAAN


Agar pyar ka vasta pyaar se hai
Aur zindagi ka maut se
Toh mat naapo har faasle ko
Apne dar se begum jaan,
Vakt ki kami toh har insan ko hai.
Junoon har ishq ka rava ho jaye
Agar vo aapke dar se dar gaye hum
Aur jata de har mohobbat ke pehlu ko.
Jazbaat se zyaada aapki adah hai
Har raat mar kar
Subaah zinda karti hai.
Bakaida hi tum dur ho
Bevajah hi pareshan ho
Ishq banta hai kehna use
Jiss bhasha ko tum
Kamdard dosti ka naam dete ho.
Dard ko dard kehne mein haklata hun mein
Aur aap dar ko sharm se dikhate ho.
Iss janam mein toh samajh liya aapki kashmakash ko
Agle janam ka intezaar bakhubi khoobsurat hoga
Intezaar hai Imtihaan har vo pal ka,
Jisme likhi mohobbat apke naam hai humne
Beintehaan pyaar ke koi nishaan nahi
Vajud to imtihaan ke aakhir mein aati khushi ka hai.

Jainil Thakkar